This one is about bibi Fatima (as) calling out to her son Imam Hussain(as) as he lay slain on the desert of kerbala.
Aashur ka sooraj hai, qiyamat ki ghaRi hai,
Bhayee ka gala kat-tha, behen dekh rahi hai,
Maqtal meh kisi maa ki, sada ghoonj rahi hai…
Aa aye mereh hussain meri godh meh aaja,
aa ja mereh bacheh, meri aghosh meh aah ja.
mereh liye aye laal, tu asgher ki tarha hain
godhi meri gehwara hai, bistar ki terha hai
iss dhoop meh daaman mera, chaador ki tarha hai...
Aa aye mereh hussain meri godh meh aaja,
aa ja mereh bacheh, meri aghosh meh aah ja.
mai maah hou, mera dil nahi seneh me sambhalta,
nazuk ye badan tera, ye jalta huwa sehra
aur iss peh setam yeh hai ke, tu reh giya piyasa...
Aa aye mereh hussain meri godh meh aaja,
aa ja mereh bacheh, meri aghosh meh aah ja.
meh godhi me leh louh, tujhe seneh peh laga louh
seneh peh sakina, ki tarha tujh ko solah louh,
seneh meh tereh teer, meh palkouN seh nibha louN...
Aa aye mereh hussain meri godh meh aaja,
aa ja mereh bacheh, meri aghosh meh aah ja.
aah ker mereh zaano, peh jo soh jaateh the beta,
chakki ki mashafqat, seh bhi pehloo nahi badla,
ab kaiseh tujeh chouRouN, maqtal meh akeila...
Aa aye mereh hussain meri godh meh aaja,
aa ja mereh bacheh, meri aghosh meh aah ja.
teri bhi to aulad hai, tu bhi to padar hai,
aulad ka gham kiya hai, ye tujh ko hi khaber hai,
gham bache ka seh jaye, ye kis maa ka jigar hai...
Aa aye mereh hussain meri godh meh aaja,
aa ja mereh bacheh, meri aghosh meh aah ja.
kiyu lait giya thak ke, tu iss jalti zameen par,
ye kis ka lahu tu neh, mala roohe haseen par,
mat khaaq peh soh laal, teri maah hai yehi par...
Aa aye mereh hussain meri godh meh aaja,
aa ja mereh bacheh, meri aghosh meh aah ja.
jo dil peh tere guzri, meh sab dekh rahi thi,
har laash uthaneh, meh tereh saath gaye thi,
ab woh baath kahouN gi, jo bachpan meh kahi thi...