Shabbir tou nay aisay bhee dar-e-alam sahay
Jinka dahar mein samna, mursil na kar sakay
Muqtool tujh sa duniya mein guzra nahee koi
Khud qatal karkay jisko hay, qatil bhee roo paray
Zainab pay baykassi ki qiyamat guzar gae
Abbas Teray qatil khaimoun mein jub ghussay
Kitnee ghareeb ho gae, Ali ki bahoo Rubab
Sub khatam jiskay rishtay hein, ek pal mein ho gae
Ziarat mein meray barhawein haadi ka hay salaam
On bibiyoun pay kay jinkay baloun mein thay mooun chuppay
Onki {ameer} duniya mein koi nahee misaal
Raah-e-Khuda mein jinkay hein naizoun pay surr churhay
Shabbir tou nay aisay bhee dar-e-alam sahay
Jinka dahar mein samna, mursil na kar sakay
=============================================
Kullo youmin ashoora
Kullo arzin karbala