Na wo iqraar kurta hai, na wo inkaar kurta hai
Hamein phir bhee gumaan hai, wo hum hee say pyaar kurta hai
Mandayroon say koi manoos see aawaz aate hai
Koi tu yaad hum ko bhee pus’ey dewaar kurta hai
Ye us k pyaar ki batein faqt kissay puranay hein
Bhala kuchay gharay pay kaun duriya paar kurta hai
Hamein ye dukh k wo aksur kai mosum nahi milta
Magr milnay ka wada wo hum say hur baar kurta hai
Hasan ratoon ko jub log meethee neend sotay hein
tu aik khawaab aashna chehra hamein beedaar kurta hai