**
Niyaaz-o-naaz key jhagrey mitaye jaatey hain
Hum unmein aur woh hum mein samaye jaatey hain
Yeh naz-e-husn tu dekho key dil ko tarpa kar
Nazr milaatey hain, muskraye jaatey hain
Mein apni aah key sadqey key meri aah mein bhi
Teri nigah key andaz paye jaatey hain**