Main samajhtee thee mujhay chahta hai
meri naadani thee, khush fahmi thee
iss main aur mujh main thee hum fikri zaroor
mushtarik qadroN nay nazdeek kia tha shayad
walwala josh tha toofan sey takranay ka
saari duniya sey badal daaliyah woh kahta tha
inqilabi thay khayalat nihayat dilchasp
meri taaref bhi karta tha tamaskhar aamaiz!
uss kay alfaaz main shokhi bhi thee sanjeedgi bhi
meri qismat main mulaqat likhi thee uss sey
woh tou khushboo tha baharon ki hawa ka jhonka tha
mujhay mahka dia aur ban gaya khuab rangeen
jaanay kiss simt gaya qos o qizaN kay hamra
haan meray zehan pay kuch apnay nishaaN chorr gaya
yaad aata hai kisi guzray zamanay ki tarha
woh haqeeqat hai magar ek fasanay ki tarha
Re: NishaaN
niceeee
Re: NishaaN
acchi sharing
Re: NishaaN
Good One Dania…:k:
Re: NishaaN
Very nice :k:
Re: NishaaN
thankx for sharing
Re: NishaaN
nice
Re: NishaaN
Nice one Dania, thanks for sharing:-)
Re: NishaaN
:k:
Re: NishaaN
:)