NISAAR MEIN TERI GALIYON KE AYE WATAN

Nisaar mein teri galiyon k a watan,k jahaaN..,
chali hai rasm k koi na sir uThaa k chalay…

Jo koi chahanay wala tawaaf ko nikalay..,
Nazar chura k chalay, jism-o-jaaN bacha k chalay..
hay ehl-e-dil k liye ab ye nazm-e-bast-o-kushaad..,
k sang-o-Khisht muqayad hain aur sag azaad…
bht hain zulm k dast-e-bahana-ju k liye..,
jo chund ahl-e-junuN tere naam leva hain…

banay hain ahl-e-hawas mudai bhi, munsif bhi..,
kisay wakil karain, kis say munsif chahain…
mgr guzarane walon k din guzaratay hain..,
teray firaq mai yuN subh-o-shaam kartay hain..
bujha jo rauzan-e-zinaaN to dil ye samajha hai..,
k teri maang sitaron se bhar gai hogi…

chamak uThe hain salaasil to hum ne jaana hai..,
ki ab sahar teray ruKh par bikhar gai hogi…
Gharaz tasavur-e-shaam-o-sahar mai jetay hain..,
giraft-e-saya-e-diwaar-o-dar men jetay hain…
yuN he hamesha ulajhate rahay hai zulm se Khalq..,
na un ki rasm nai hai, na apni reet na…

yuN he hamesha khilaye hain hum ne aag mai phool..,
na un ki haar nai hai na apni jeet nai…
isi sabab se falak ka gilaa nahi kartay..,
teray firaq mai hum dil bura nahi kartay…

Gar aaj tujh say judaa hain to kaal baham hongay..,
ye raat bhar ki judai to koi baat nahi…
Gar aaj auj pe hai taala-e-raqeeb to kya..,
ye char din ki KHUDAI to koi baat nahi…
jo tujh se ahd-e-wafa ustavaar rakhtay hain..,
ilaaj-e-gardish-e-lail-o-nihaar rakhtay hain…!!!

Re: NISAAR MEIN TERI GALIYON KE AYE WATAN

:lajawab: kia baat hai Faiz ki