Be parada nazar aayi jo kal chand bibiya n
Akbar zamin mein ghairat qauni se garh gaya
Pucha jo maine aapaka parda wo kya huwa
Kehne lagi ke aql pe mardo ke parh gaya
Niklo na benaqab zamaana kharaab hai
Aur uspe ye shabaab zamaana kharaab hai
Sab kuchh hamein khabar hai nasihat na kijiye
Kya honge hum kharaab zamaana kharaab hai
Matalab chupa huwa hai yahaan har sawaal mein
Do sochkar jawaab zamaana kharaab hai
Aur usape ye shabaab zamaana kharaab hai
Niklo na benaqab zamaana kharaab hai
Raashid tum aa gaye ho na aakhir fareb mein
Kehte na thay janaab zamaana kharaab hai
Aur usape ye shabaab zamaana kharaab hai
Niklo na benaqab zamaana kharaab hai