Meray siwa kisi per woh nigah naheen uth-ti
Sub kay elawah mujh per hi who nigah naheen jhuk-ti
Aaeenah badul lay nay say Apni soorat naheen badul-ti
Dard main to lakhoon or Khushi main koi dua naheen nikul-ti
Janay kia zid hay is hawa ko Meri mukhalif simt main kub naheen chul-ti
Who jugnoo kia noor phay-laey ga Jisay khood khursheed say zia naheen mil-ti
Her lumha saath choor rahi hay zindagi Kion itnti budi baat hum ko naheen dikh-ti
Majid yeah kia hova hay usay dakh-nay kay baad Koi or soorat nigah main meri naheen tik-ti