nigah ki aakhri hadh tak chaloon ga

nigah ki aakhri hadh tak chaloon ga
mein rah ki aakhri hadh tak chaloon ga
tujhey paaney ki khawahish dil mein ley kar
dua ki aakhri hadh tak chaloon ga
mujhey tera kinara dekhna hey
jafa ki aakhri hadh tak chaloon ga
agar woh neem wah aankhein pilaaen
gunah ki aakhri hadh tak chaloon ga
bhattak kar us sheher mein ittefaqan
nazah ki aakhri hadh tak chaloon ga
mein kaisey aeteraf_e_ishq kar loon
ana ki aakhri hadh tak chaloon ga
woh khanjar bhi agar maarey to faisal
wafa ki aakhri hadh tak chaloon ga

nigah ki aakhri hadh tak chaloon ga
mein rah ki aakhri hadh tak chaloon ga
tujhey paaney ki khawahish dil mein ley kar
dua ki aakhri hadh tak chaloon ga

hmmm acha g aur kahan tak chaliengey !;)

well jaanleva bahut khoob!

jaha tak sans chalay gi mai bhi chaloo ga:k:

Ahaan! iraaday tu khoob hain
by the way any idea sans kab tak chalay gi :wink:
just kidding jaanleva ji

Nice contribution and Good Luck ! :)

really nice:k:

:)

Nice :)

[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *

by the way any idea sans kab tak chalay gi ;)

[/QUOTE]

jaha tak mai chaloo ga:D

thanx every1