please post lyrics of some nice ghazals…many thanx.
YEh mashgala hai kisi ka najanay kia chahay
NA fasloon ko mitaay, nA faisala chahay
Meri bisaat hai kya mainhon brg awara
Ura kay lay chalay mujh ko jahan hawa chahay
Hazaroon doobnay walay bacha liyay laikin
Usay main kaisay bacahoon jo doobna chahay
Jo apna chahra dikhata hai mehrabaan ban kar
Us aainay ki tarf koon dakhna chahay....
losty, very nice...thank you for sharing!
:)
Dhuaan bana kay fiza main ura diya mujh ko
MAin jal raha tha kisi nay bhuja diya mujh ko
KAhara hoon aaj bhi roti kay char harf liyay
Sawal yeah hai kay kitaabon nay kia diya mujh ko
Safaid rang ki chadar lapait kar mujh par
Faseel-e shehar par kisi nay saja diya mujh ko
MAin eik zara bulandi ko choonay nikla tha
HAwa nay tham kay zameen par gira diya mujh ko
wow losty, where do u come up with these?! they're fabulous...very meaningful!
I'm totally in love with this ghazal by Farida Khanum.
woh ishq jo hum se rooth gayaa ab us kaa haal bataayen kyaa
koi mehar nahin koi qahar nahin phir sachchaa sher sunaayen kyaa
ik hijr jo hum ko laahak hai taa der usey doharaayen kyaa
woh zahar jo dil mein utaar liyaa phir us ke naaz uthaayen kyaa
ik aag ghum-e-tanhai ki jo saare badan mein phail gai
jab jism hee saaraa jaltaa ho phir daaman-e-dil ko bachaayen kyaa
hum nagmaasaraa kuch ghazlon ke hum sura-gar kuch Khwaabon ke
bejazbaa-e-shauq sunaayen kyaa koi Khwaab na ho to bataayeN kyaa
(Now..someone be a darling and please translate it. I understand some of it...but it's quite difficult.)
Karoo gey yaad to her baat yaad aye gi
guzertey waqt ki her moj theher jaye gi
Yeh chand beetey zamanoon ka aaina hoga
bhataktey abar mein chehra koi bana hoga
udass rah koi dastaan sunaye gi
Karoo gey yaad to her baat yaad aye gi
guzertey waqt ki her moj theher jaye gi
Barasta bheegta mausam dhuwan dhuwan hoga
Pighalti shumoon pey dil ka mery gumman hoga
Hathaliyoon ki hina yaad kuch dilaye gi
Karoo gey yaad to her baat yaad aye gi
guzertey waqt ki her moj theher jaye gi
Gali key moor pey soona sa koi derwaza
Tarsasti aankhoon sey rasta kisi ka dekhey da
Nigah door talak ja key loot aye gi
Karoo gey yaad to her baat yaad aye gi
guzertey waqt ki her moj theher jaye gi
pyar ka pehla khat likhnay mein waqt to lagta ha
naye parindoon ko urnay mein waqt to lagta ha
jism ki baat naheen thi un kay dil tak jana tha
lambi doori tay kerney mein waqt to lagta ha
ganth ager lag jaye to rishtay hoon ya dori
lakh karain kooshish , khulnay mein waqt to lagta ha
hum nay ilag-i-derd-i-dil to dhoond liya lekin
ghehrey zakhmoon ko bherney mein waqt to lagta ha
Dikhai yoon kay bekhud kiya
humein aap say bhi juda ker chalay
jabeen sajda kartay hi kartay gayi
haq-i-bandagi hum ada ker chalay
parastish kiya tak kay aay b.ut tujhay
nazar mein saboo ki khuda kar chalay
bahut aarzo thi gali ki teri
so yaan se lahoo mein naha ker chalay
zindagi jab bhi teri bazam main lati ha humain
yeh zameen chand sey behter nazar aati ha humain
surkh phooloon sey mehak uthti hain dil ki rahein
dhin dhalay yoon teri awaaz bulaati ha humain
yaad teri kabhi dastak kabhi surghooshi say
raat kay pichlay peher roz jagati ha humain
her mulaqaat ka anjam judai kyoun ha ?
ab to her waqt yehi baat satati ha humain
Rukay rukay say qadam ruk kay bar bar chalay
qarar day kay tery der say beqarar chalay
uthaye phirtay thay ehsaan jism ka jaan per
chalay jahan say to yeh perhan utar chalay
saher na ayi kai bar neend say jagay
so raat raat ki yeh zindagi guzaar chalay
mili ha shama say yeh rasm-i-aashiqui hum ko
gunah hath pay lay ker gunahgaar chalay
sab ki thehreer karda kavishain dil ko choo lene wale hain
kya mein kuch nazar kar saktee hoon?
:k: thank you guys…your lyrics rock!!!