**Sabhi ashk ankhon mein aa gaye na chupa sakay na bata sakay
Woh jo Bheid tha woh khul gaya koi baat bhe na chupa skay
Na wafa rahi na jafa rahi na woh dil raha na hum rhay
Uski Yaad Ka Jo Charagh Tha Na jala skay na bujha sakay
Koi zoor khud pe rha nhe koi bus us pe chala nhe
usay dekhtay rhay door tk magar hath tk na hila skay
Nahi is mein uski khata koi na naseeb ka koi dosh tha
Yeh Hamara apna mijaz tha ke kisi tarah na nibah skay**