~..New Year..~

Salamzz..

Ab kay saal kuch aisa kerna
Apnay pichlay bara maah kay
Dukh sukh ka andaza kerna
Saada sa ik kaghaz lay ker
Bhoolay basaray pal likh lena
phir is beetay ik ik pal ka
Ik ik mor ahaata kerna
Saari subhain haazir kerna
Saari shaamain paas bulana
Or ilawaa in k dekho
Sab mosam bhi dhiyaan main rakhna
Ik ik yaad gumaan main rakhna
Phir MOHABBAT qiyaas lagana
gar to…
Khushiyaan barh jaati hain..
To phir tum ko meri taraf say..

“NAYA SAAL MUBARAK”..

Aur ager gham barh jaain
to mat bekaar takalluf kerna
Dekho phir tum aisa kerna
Meri khushiyaan tum lay lena
Mujh ko apnay gham day dena
Ab k saal kuch aisa kerna…

“HAPPY NEW YEAR” ..:slight_smile:

PRAYERS…BLESSINGss..

Re: ~..New Year..~

wow very nice!!

Re: ~..New Year..~

V nice and same to you :)

Re: ~..New Year..~

beautiful

Re: ~..New Year..~

Buhat Khoob