new poetry from musafir

hello!

kia haal hai gupshup waalo.
mein nein apna takhallus musafir rakh lia hai , kaisa hai?

hasrat rahi doost kabhi dil ka hamarey bhi pouchein
per her zalim buss apni hi souna key bhaag nikla

tamannaien itni rahein kay akser yaad naan rahein
hum say behter tou woh be tamanna insaan hi nikla

woh shaks jis kou samjhatey rahay hum bhi pagal
saarey sheher mein wohi aik sacha aashiq nikla

saari umer samajhtey rahey mohabbat kay asool
per is raastey mein kamyaad tou wohi jahil nikla

buhat bersoun jis haath ki aik dustak ka intezaar raha
baad dastak kay ousee haath mein mout ka perwaana nikla

woh jin ki aik aik ada per dum hamara nikla
buss aik wohi dilber haal say hamarey gafil nikla

kae baar dil ka haal apne sounanein gae oun kou
her baar durr per ounke hajoom oun ka muntazir nikla

zindagi kay is safer mein tunha chour kay musafir
woh pouchtey hain toun kyon aadh rustey ka rahi nikla

Masha Allah and welcome to this world.....

musafir rakh lia hai

acha hay ... khayal rahay humara dil bhi musafir hay kahain rastay main mil jay to rakh na laina

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Masha Allah and welcome to this world.....
[/QUOTE]

thank you very much.

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
musafir rakh lia hai

acha hay ... khayal rahay humara dil bhi musafir hay kahain rastay main mil jay to rakh na laina
[/QUOTE]

janab aap kay dil kou letter box mein daal dein gey jou address likha hou gaa ous address per pouhanch jae gaa.

our ager koi address naan likha houwa tou serkari khazaney mein zabt hou jae gaa. :D

[QUOTE]
*Originally posted by bhatka_musafir: *

Fikar not ... akhair woh dil hay hamara ... serkari khazana to kia koi kabarri bhi na lay ... shayd pakorray wala lakta day kahain apnay naam kay agay, ** @Dil faroosh pakorray wala@ **

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *

Fikar not ... akhair woh dil hay hamara ... serkari khazana to kia koi kabarri bhi na lay ... shayd pakorray wala lakta day kahain apnay naam kay agay, ** @Dil faroosh pakorray wala@ **
[/QUOTE]

ALLAH karay pher tou aap ka dil mil hi jae, kisi pakourey waalay kou beach ker rustey ka samaan khareed lein gay.

[QUOTE]
*Originally posted by bhatka_musafir: *

ALLAH karay pher tou aap ka dil mil hi jae, kisi pakourey waalay kou beach ker rustey ka samaan khareed lein gay.
[/QUOTE]

chalain aap bhi kar lo khoshish ... ho sakta hay aap kay naseeb achay hon our bacha kucha choran hi haat ajay.

pakorron say yaad aya kal say kuch khaya nahi, Allah aghar her shehir main aik Data our aik Bari sarkar hotay to kisi ka kia jata :(

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *

pakorron say yaad aya kal say kuch khaya nahi, Allah aghar her shehir main aik Data our aik Bari sarkar hotay to kisi ka kia jata :(
[/QUOTE]

hain yeh kia aap kay sheher mein koi derbaar naheen , ager naheen tou fiker ki koi baat naheen. aap kay baad aap ka mazar bana dein gay takey pher koi insaan hasrat naan ker sakay.

:flower1:

broken sky ko barri jaldi hay .. foran hi mazar par phool bhi charrha day

Hum nein tou naam bhi souch lia aap kay mazaaar ka

“ASSTANA-E-PAKOUROON WAALI SERKAAR” :smiley: :hula:

very nice:k::k:
and welcome:hula:

:flower2:

very much thanks waisay yeh koi meri pehli post naheen hai :hula:

haal tu theek hai...........by the way .....share karney ka shukria

bahut khoob!

hmm nice..

welcome to Gs

nice job :k:

thank you very much

P}{ä®mä©Ï§t

HeArT HaCKeR

Lamhay