*neeyat-e-shauq bhar na jaaye kahin *
*too bhi dil se utar na jaaye kahin *
*aaj dekhaa hai tujhe der ke baad *
*aaj kaa din guzar na jaaye kahin *
*na milaa kar udaas logon se *
*husn teraa bikhar na jaaye kahin *
*aarzoo hai ke too yahaan aaye *
*aur phir umr bhar na jaaye kahin *
*jee jalaataa hoon aur ye sochtaa hoon *
*raayegaan ye hunar na jaaye kahin *
aao kuchh der ro hi len ‘Nasir’
*phir ye dariyaa utar na jaaye kahin *
~*****~
Nasir Kazmi
~*****~
Amal
2
Re: neeyat-e-shauq bhar na jaaye kahin
Lovely piece from Nasir Kazmi :k: Thanx HallaGulla for posting this ghazal.
Re: neeyat-e-shauq bhar na jaaye kahin
Bhot Achi poem hai :k:
Re: neeyat-e-shauq bhar na jaaye kahin
Nasir Kazmi is one of my fav.
Nice sharing!
Re: neeyat-e-shauq bhar na jaaye kahin
good one!