Khwaab bankar aao
neend ki pareeyon ko laao
to so jaaun main
shab-e-tanhaai main
mehkaao mere tan man
to so jaaun main
apni aagosh main bharke
neend ki loriyaan sunaao
to so jaaun main
chupke se kaanon main
meethi si sargoshiyan karo
to so jaaun main
ek baar aake meri jaan
gale se lagaa lo mujhko
to so jaaun main
ik baar to aa sangdil
ta-umr ki raahat ke liye
to so jaaun main
ai rahat-e-jaan
“aarzoo”-e-dil ban jaao
to so jaaun main…