Re: Neend kee godeh mein jahan chup hai.
Shaayad tumhaiN naseeb ho aye Kashtagaan-e-Shub Roo-e-Ufuq pe subhu kaY aasaar dekhnaa :)
Tanhaai-e-Shabb maiN HazeeN kiyaa? Anjum nahiN teray hum nasheeN kiyaa?:)
Ye Rif'at-e-Aasmaan-e-Khaamosh Khuaabeeda zameeN jaahaan-e-Khaamosh
Ye chaand, ye dasht-O-dar, ye Kohsaar Fitrat hay tamaam nastar'n-e-zaar
Motee khush rung piyaaray piyaaray Ya'ni teray aaNsoo'ouN kay taaray :-(
Kiss shay kee tujhay hawiis hay aey Dil! Qudrat teri hum nafs hay aey Dil!
-- Allama Iqbal
Dur wadi mein dudhiyaa badal
jhuk ke parbat ko pyaar karatey hain
dil mein nakam hasaratein lekar
hum tera intezar karatey hain
inn bahaaron ke saye mein aa ja
phir mohabbat jawaan rahey na rahey
zindagi tere naa muraadon par
kal talak meharaban rahey na rahey :)