Roz kee tarah aaj bhi taarey
subah kee gard mein na kho jaayein
aa tere ghum mein jaagati aankhein
kam se kam ek raat so jaayein
chand madham hai aasmaan chup hai
neend kee godeh mein jahan chup hai
Roz kee tarah aaj bhi taarey
subah kee gard mein na kho jaayein
aa tere ghum mein jaagati aankhein
kam se kam ek raat so jaayein
chand madham hai aasmaan chup hai
neend kee godeh mein jahan chup hai
Re: Neend kee godeh mein jahan chup hai.
Roz kee tarah aaj bhi taarey subah kee gard mein na kho jaayein
Shaayad tumhaiN naseeb ho aye Kashtagaan-e-Shub
Roo-e-Ufuq pe subhu kaY aasaar dekhnaa :)
chand madham hai aasmaan chup hai neend kee godeh mein jahan chup hai
Tanhaai-e-Shabb maiN HazeeN kiyaa?
Anjum nahiN teray hum nasheeN kiyaa?:)
Ye Rif'at-e-Aasmaan-e-Khaamosh
Khuaabeeda zameeN jaahaan-e-Khaamosh
Ye chaand, ye dasht-O-dar, ye Kohsaar
Fitrat hay tamaam nastar'n-e-zaar
Motee khush rung piyaaray piyaaray
Ya'ni teray aaNsoo'ouN kay taaray :-(
Kiss shay kee tujhay hawiis hay aey Dil!
Qudrat teri hum nafs hay aey Dil!
-- Allama Iqbal
Re: Neend kee godeh mein jahan chup hai.
yaar eshan unkil.. aap itnaY achaY achaY asha'r, nazmaiN laY aataY haiN ... khud ba khud jawaab maiN aisee cheezaiN zubaan par aa jaati haiN :)
Re: Neend kee godeh mein jahan chup hai.
:(
Re: Neend kee godeh mein jahan chup hai.
yaar eshan unkil.. aap itnaY achaY achaY asha'r, nazmaiN laY aataY haiN ... khud ba khud jawaab maiN aisee cheezaiN zubaan par aa jaati haiN :)
AQ jee kyun sharmindah kartey hain, aap ka shairi ka knowledge mujh gharib say toh kahin wasih hai.
Re: Neend kee godeh mein jahan chup hai.
yaar** eshan unkil..** aap itnaY achaY achaY asha'r, nazmaiN laY aataY haiN ... khud ba khud jawaab maiN aisee cheezaiN zubaan par aa jaati haiN :)
:D
abhi neend ki baat na karein .. mera sounay ko dil karta hai :(
Re: Neend kee godeh mein jahan chup hai.
Shaayad tumhaiN naseeb ho aye Kashtagaan-e-Shub Roo-e-Ufuq pe subhu kaY aasaar dekhnaa :)
Tanhaai-e-Shabb maiN HazeeN kiyaa? Anjum nahiN teray hum nasheeN kiyaa?:)
Ye Rif'at-e-Aasmaan-e-Khaamosh Khuaabeeda zameeN jaahaan-e-Khaamosh
Ye chaand, ye dasht-O-dar, ye Kohsaar Fitrat hay tamaam nastar'n-e-zaar
Motee khush rung piyaaray piyaaray Ya'ni teray aaNsoo'ouN kay taaray :-(
Kiss shay kee tujhay hawiis hay aey Dil! Qudrat teri hum nafs hay aey Dil!
-- Allama Iqbal
Dur wadi mein dudhiyaa badal
jhuk ke parbat ko pyaar karatey hain
dil mein nakam hasaratein lekar
hum tera intezar karatey hain
inn bahaaron ke saye mein aa ja
phir mohabbat jawaan rahey na rahey
zindagi tere naa muraadon par
kal talak meharaban rahey na rahey :)
Re: Neend kee godeh mein jahan chup hai.
wah wah ![]()
kiya zouQ paya hai aap donouN nay ..
Re: Neend kee godeh mein jahan chup hai.
inn bahaaron ke saye mein aa ja phir mohabbat jawaan rahey na rahey
bahaaroN kaY saaYe maiN aanaY kee aik choTi see koshish tau kee thee, dhutkaar diye gaye :)
AAye jo QiraaN maiN dau sitaaray
Kehnay lagaa aik doosray say
Yeh wis'l m'daam ho tau kiyaa khoob
Anjaam-e-kharaam ho tau kiyaa khoob
ThoRa saa jo Meh'rbaaN Falak ho
Humm dono kii aik hee chamak ho
Lekin yeh wisaal kii tamanna!
Peghaam-e-Firaaq thee saraapaa
Gardish TaaroN ka hai Muqqaddar
Har aik kii Raah hai Muqqarrar
Hai Khuaab Sabaat-e-A'ashnaaii
AaeeN jahaaN kaa hai Judaaii
Re: Neend kee godeh mein jahan chup hai.
^ Wah Bauhat khoob. :k:
Re: Neend kee godeh mein jahan chup hai.
Wow bohat Aala ehsan bhai and AQ...
Re: Neend kee godeh mein jahan chup hai.
superb ehsan and AQ
Re: Neend kee godeh mein jahan chup hai.
ab main kaya kahoon app donon ke ala zauq per
fantastic
Re: Neend kee godeh mein jahan chup hai.
WeLL Done. Both of u :)
Re: Neend kee godeh mein jahan chup hai.
buhut alaa :)
Re: Neend kee godeh mein jahan chup hai.
*bohat khoob both of you ehsan bahi and AQ bahi *
Re: Neend kee godeh mein jahan chup hai.
Very beautiful piece ![]()
Re: Neend kee godeh mein jahan chup hai.
nice one