Re: Neend kee godeh mein jahan chup hai.
Roz kee tarah aaj bhi taarey subah kee gard mein na kho jaayein
Shaayad tumhaiN naseeb ho aye Kashtagaan-e-Shub
Roo-e-Ufuq pe subhu kaY aasaar dekhnaa :)
chand madham hai aasmaan chup hai neend kee godeh mein jahan chup hai
Tanhaai-e-Shabb maiN HazeeN kiyaa?
Anjum nahiN teray hum nasheeN kiyaa?:)
Ye Rif'at-e-Aasmaan-e-Khaamosh
Khuaabeeda zameeN jaahaan-e-Khaamosh
Ye chaand, ye dasht-O-dar, ye Kohsaar
Fitrat hay tamaam nastar'n-e-zaar
Motee khush rung piyaaray piyaaray
Ya'ni teray aaNsoo'ouN kay taaray :-(
Kiss shay kee tujhay hawiis hay aey Dil!
Qudrat teri hum nafs hay aey Dil!
-- Allama Iqbal