neelay libas main janne wo kia lag rahi thi

**neelay libas main janne wo kia lag rahi thi
Chand ne kaha apsara lag rahi thi

badal ne kaha ghata lag rahi thi
Dhanak ne kaha qos-e-qaza lag rahi thi

Sitaroon ne kaha roshni lag rahi thi
pholoon ne kaha kali lag rahi thi

Falak ne kaha Asman lag rahi thi
raat ne kaha kehkashan lag rahi thi

sagir ne kaha bhanwar lag rahi thi
suraj ne kaha saher lag rahi thi

shabnam ne kaha ghulab lag rahi thi
chandni ne kaha mahtab lag rahi thi

hawa ne kaha ehsas lag rahi thi
sham ne kaha khush libas lag rahi thi

subha ne kaha bad-e-saba lag rahi thi
neelay libas main janne wo kia lag rahi thi…

tasawar hi tasawar main jab sochta hoon
main jaa ke wahan pohanchta hoon

hathoon pe hina bhi sajaye hoi hai
lagta hai koi pari ayi hoi hai

wo sitaroon main mahtab lag rahi hai
pholoon main jaisay ghulab lag rahi hai

wo sab se juda aur haseen lag rahi hai
khayaloon main mairay mah jabeen lag rahi hai

janne kab tasawar ke angan se lout ata hoon
Aur neend ki wadi main puhanch jata hoon…!**

Re: neelay libas main janne wo kia lag rahi thi

**neelay libas main janne wo kia lag rahi thi
Chand ne kaha apsara lag rahi thi

:omg:

maazrat ke sath chaand ki aankhen kharab hongi shayad
maine apni aankhon se dekha wo to khusraa lag rahi thi
**

Re: neelay libas main janne wo kia lag rahi thi

hahaha..........ab ye shair ka naseeb.........

Re: neelay libas main janne wo kia lag rahi thi

woh jo kuch bhi lag rahi hai banday ki bachi nahi lag rahi

Re: neelay libas main janne wo kia lag rahi thi

aap ka ishara Veena Malik ki taraf hai ya Rakhi Sawant ki taraf?

Re: neelay libas main janne wo kia lag rahi thi

neelay libas mein kon thi
Veena Malik ya Rakhi Sawant?

Re: neelay libas main janne wo kia lag rahi thi

enter10 bataen ge.. waise libaas ki baat hai to Veena ke chances zara kam hain :hehe:

Re: neelay libas main janne wo kia lag rahi thi

:teggy: to Enter 10

Re: neelay libas main janne wo kia lag rahi thi

2no hi nhi hyn.............

janne kab tasawar ke angan se lout ata hoon
Aur neend ki wadi main puhanch jata hoon....!

Re: neelay libas main janne wo kia lag rahi thi

neelay libas wali larki tasawar mein daikhi thi shair ny,
Haqeqat mein nhi..........

Re: neelay libas main janne wo kia lag rahi thi

un dono ka Labas say koi taluq nahi, ye koi aur hi hogi

Re: neelay libas main janne wo kia lag rahi thi

:smack:

Re: neelay libas main janne wo kia lag rahi thi

**@pakiiza **Aapko kia howa........?