“SHAAYAD”
Main shaayad tumko yaksar bhoolne waala hoon
Shaayad, jaan-e-jaa(n) shaayad
K ab tum mujh ko pehle se zyada yaad aati ho
Hai dil ghamgee(n), bohat ghamgee(n)
K ab tum yaad dildaaraana aati ho
Shameem-e-door maanda ho
Bohat ranjeeda ho mujh se
Magar phir bhi
Mashaam-e-jaa(n) mein mere aashti-mandaana aati ho
Judaai mein bala ka iltefaat-e-mehramaana hai
Qayaamat ki khabar geeri hai
Be-had naaz-bardaari ka aalam hai
Tumhaare rang mujh mein aur gehre hote jaate hain
Main ddarta hoon
Mere ehsaas k is khwaab ka anjaam kya hoga
Ye mere andaroon-e-zaat k taaraaj-gar,
Jazbon k bairi waqt ki saazish na ho koi
Tumhaare is tarha har lamha yaad aane se
Dil sehma hua sa hai
To phir tum kam hi yaad aao
Mataa-e-dil ! mataa-e-jaa(n) ! to phir tum kam hi yaad aao
Bohat kuch beh gaya hai sail-e-maah o saal mein ab tak
Sabhi kuch to na beh jaaye
K mere paas reh bhi kya gaya hai
Kuch to reh jaaye.
(poet: John Aailia)