Asalam U Alaikum to all ma frIendz
hope u r All fi9 by the Grace of ALLAH !
dua hai Hamesha khush rahein Amin.
Aik nazm share karta chaloon suniye
Dukh anmol hote hain..!!!..
**kuch de ke jaate hain.. **
**Kabhi sab cheen laite hain… **
**Kabhi beychain karte hain… **
**Kabhi jeena sikhaate hain… **
**Kabhi bante hain jab aansoo… **
**Umar bhar lahoo rulaate hain… **
**Kabhi lab ki hansi ban kar… **
**Nayi duniya sajaate hain… **
**Kabhi meethi kasak ban kar… **
**Anjaani khalish ban kar… **
**Makeen-E-Dil yeh bante hain… **
**Kisi soorat nahin mit’te… **
**Jo in se door bhaago toh… **
**Kaheen jaane nahin dete… **
**Naa zinda rehne dete hain… **
**Naa yeh aazaad karte hain… **
**Nahin jiski dawa koi… **
**Yeh aisa dard hote hain… **
**Magar yeh bhi ek haqeeqat hai… **
**Har ek ko to nahin milte… **
**Bade nayaab hote hain.. **
Dukh anmol hote hain..!!!..
Chalta hooN Khush RahaiN Amin !!
BeiNg lOnEly !! SiD !!