Nazm bohat aasaan thi pehlay

Nazm bohat aasaan thi pehlay
ghar key aagey peepal ki shaakhoun sey nikal key
aate jaatey bachchoun key bastoun sey uchal key
rang birangi chiriyoun ki chehkaar mein dhal key
nazm merey ghar jab aati thi
meray qalam sey jaldi jaldi khud kou poora likh jaati thi

ab sab manzar badal chukey hein
chotey chotey chouraahoun sey
chouray rastey nikal chukay hein
barey barey baazaar, puraaney
gali, mohalley nigal chukay hein
nazm sey mujh tak
ab meeloun lambi doori hai
inn meeloun lambi doori mein
kahin achaanak bomb phat-tay hein
mazhab aur siyasat donon
naye naye na’arey rat-tey hein

bohat sey shehroun
bohat sey mulkoun sey ab hou kar
nazm meray ghar jab aati hai
itni ziada thak jaati hai
meray likhnay ki table par
khaali kaghaz kou khaali chour key rukhsat hou jaati hai
aur kisi footpath pey jaa kar
shehar key sab se boorhay shehri ki
palkoun par
aansoo ban kar sou jaati hai !

Re: Nazm bohat aasaan thi pehlay

To qasoor kiska hai...

Re: Nazm bohat aasaan thi pehlay

by Gulzar?

Re: Nazm bohat aasaan thi pehlay

by nida faazli...

Re: Nazm bohat aasaan thi pehlay

Ghar se masjid hai boht door chalo yun kar le
kisi rote huwe bache ko hasaya jae

Re: Nazm bohat aasaan thi pehlay

hmmm and that great ghazal hosh waalon ko khabar....

Re: Nazm bohat aasaan thi pehlay

duniya jise kehte hain jadu ka khilona hai
mil jae to mitti hai, kho jae to sona hai

beautiful poetry