Kabhi simtoun ki baatoun se
kabhi raftaar sey apni
kabhi zarrey ki hayyiat sey
kabhi jismoun ki harkat sey
jou kuch hum jaan paaye hein
tou itna jaan paaye hein
yeh sab aankhoun kaa parda hai
yeh sab nazroun kaa dhokaa hai
ke jitney raaz khultey hein
woh purasraar hotey hein
usool-e-beyaqeeni par yeh ik oonchi imaarat hai
jou dekhaa thaa izaafat thaa
jou jaanaa hai izaafat hai