*nazar nazar main liyah tera piyaar phirtay hain
misaal-e-moj-e-naseem-e-bahaar phirtay hain
teray diyaar sey zarron nay roshni paiee
teray diyaar main hum sogwaar phirtay hain
yeh haadsa bhi ajab hai kah teray deewanay
lagai dil sey ghum rozgaar phirtay hain
liyah huay hain do aalam ka dard seenay main
teri gali main jo deewana waar phirtay hain
bahaar aakay chali bhi gayee magar Jaalib~
abhi nigah main who lala-zaar phirtay hain
*