nazar milaa na sake us se us nigaah ke baad

**nazar milaa na sake us se us nigaah ke baad
vahii hai haal hamaaraa jo ho gunaah ke baad

mien kaise aur kis simt mortaa Khud ko
kisii ki chaah na thii dil mainn terii chaah ke baad

zamiir kaaNp to jataa hai aap kuchh bhii kahien
vo ho gunaah se pahale ke ho gunaah ke baad

kaTii huii thiien tanaabien tamaam rishton kii
chhupaataa sar mienn kahaaN tujhase rasm-o-raah ke baad

havas ne tor dii barason kii saadhanaa merii
gunaah kiyaa hai ye janaa magar gunaah ke baad

gavaah chaah rahe the vo begunaahii kaa
zubaaN se kah na sakaa kuchh Khudaa-gavaah ke baad

Khatuut kar diye vaapas magar merii neendien
inhien bhii chhor do ik raham kii nigaah ke baad **

Krishan Bihari Noor

Re: nazar milaa na sake us se us nigaah ke baad

Boht he Alaaa....