merey humdam..mere sathi.. agarchay tay huwa tha kab? k tum say hum juda ho kar.. umar k kaghazoN maiN rang bharna bhool jayeN gay..
**tumharay hijr k maray.. ** khushi k rasty pe paooN dharna bhool jayeN gay.. yeh ankhaiN hijr k taptay huwey sehra maiN gum ho kar kisi piyasay ki manind wasl ki boondoN ko tarsaiN gi… shahaabi rangatoN maiN zardiyaN ghul jayeN gi aisay k phir yeh phool meri jaaN mehakna bhool jayega.. khizaN mausam agar aya…palatna bhool jayega.. na pehlay say raho gay tum na yeh chahat na sarshaari.. magar dil maiN koi jazba… koi mohoom sa jazba musalsal yeh batayega… “muhabbat thi, muhabbat hai..” agarchay tay huaa tha kab? tumharay ba’d yooN hoga.. k hum jeena na chahaiN gay..
**magar jeenay ki khatir ** umr ka israr bhi hoga..
**tumhaiN dil say bhulana ** is qadar dushwar bhi hoga.. kaho humdam.. kaho kuch to.. agachay tay nahiN tha yeh… to phir kaisa hai yeh jadu? k dil maiN naqsh hai ab tak tumharay piyar ki khusbu.. nazar maiN dafn haiN ab tak tumharay naam k aansu..!!
Re: --nazar maiN dafn haiN ab tak tumharay naam k aansu--
agachay tay nahiN tha yeh...
to phir kaisa hai yeh jadu? k dil maiN naqsh hai ab tak tumharay piyar ki khusbu.. nazar maiN dafn haiN ab tak tumharay naam k aansu..!!