nazar ki dhoop main saaey ghullay hain shab ki tarah

nazar ki dhoop main saaey ghullay hain shab ki tarah
main kab udaas nahee tha magar na ab ki tarah

phir aaj shehar-e-tamanna ki rah guzaaro say
guzar ruhain hain kai log roz-o-shab ki tarah

tujhay to mainay burri aarzu say chahaa tha
yey kia kay choor chala tu bhi aur sab ki tarah

afsurdagi hay magar wajha-e-gham nahi maloom
kay dil pay bojh sa hay ranj-e-bay sabab ki tarah

khilay to ab kay bhi gulshan main phool hain laikin
na meray zakham ki soorut, na teray lab ki tarah

Re: nazar ki dhoop main saaey ghullay hain shab ki tarah

Sahab...Kiya Harf Hai Aur Kaisa Junoon Hai...Subhanallah...Zindabad !

Bemisaal Ghazal Mubarak.... Apke Junoon Ko Salaam !

Darwesh.

Re: nazar ki dhoop main saaey ghullay hain shab ki tarah

Harf-e-janoon buhat zabardust .... i like this she'r but i've just made one change and u can see now it will give more good look .... anyway buhat acha likhtay hain aap ....

tujhay to mainay burri aarzu say chahaa tha
yey kia kay choor chala tu bhi **mujhay aurooon **ki tarah

Re: nazar ki dhoop main saaey ghullay hain shab ki tarah

Sir,
Doosron ki poetry "INTAKHAB" mein post ki jaati hai.
Shukria.

Re: nazar ki dhoop main saaey ghullay hain shab ki tarah

Sannan bhai sab wahaN sey nahi hataaya ja sakta. Aur aap ney **correction **nahi balke corruption ki hey. Sab, radeef ka hissa hey chanda :smiley:


As Zamil said, if this is not your own harf-e-junoon, than it must go to Intikhaab.

Re: nazar ki dhoop main saaey ghullay hain shab ki tarah

Oh Haan yaar u r right :bummer: bus mujhay ek she’r acha laga iss liay main nay apni marzi ka bana lia :smiley:

Re: nazar ki dhoop main saaey ghullay hain shab ki tarah

main apni ghalti ki maafi chahta hu, faraz kay gulistan say aik phool, ghazal ki soorat main post kia tha

sanan ji, meri taraf say to ijazat hay aap ko rudeef badal nay ki bus aap ko faraz sahib say ijaazat laina hogi

Re: nazar ki dhoop main saaey ghullay hain shab ki tarah

bohut zabardast