nazar Khwaah kitnii hii haqaaeq aashnaa

**qadam insaaN ka raah-e-dahar meN tharraa hii jaata hai
chale kitnaa hii koii bach ke Thokar khaa hii jaataa hai

nazar Khwaah kitnii hii haqaaeq aashnaa, phir bhii
hujuum-e-kashmkash meN aadmii ghabraa hii jaataa hai

khilaaf-e-maslahat maiN bhi samajhta huN, magar vaaez
vo aate haiN to chehre pe taGaiyyur aa hii jaataa hai

havaaeN zor kitnaa hii lagaaeN aaNdhiyaaN ban kar
magar jo ghir ke aataa hai vo baadal chhaa hii jaataa hai

shikaayat kyuuN ise kahte ho ye fitrat hai insaaN kii
musiibat meN khayaal-e-aish-e-rafta aa hii jaataa hai

samajhtii haiN maal-e-gul meN kyaa zor-e-fitrat hai
sahar hote hii kaliyoN ko tabassum aa hii jaataa hai **

Re: nazar Khwaah kitnii hii haqaaeq aashnaa

Acha :hmmm:

Re: nazar Khwaah kitnii hii haqaaeq aashnaa

*chale kitnaa hii koii bach ke Thokar khaa hii jaataa hai *

Aur thokar khaney se jo jo fuzuliat zuban se nikalti hain unki tou kiya he baat hai :p

Re: nazar Khwaah kitnii hii haqaaeq aashnaa

**shikaayat kyuuN ise kahte ho ye fitrat hai insaaN kii
musiibat meN khayaal-e-aish-e-rafta aa hii jaataa hai

bouhat khoob :k:**

Re: nazar Khwaah kitnii hii haqaaeq aashnaa

Toh dekh ker chala karein. :p

Re: nazar Khwaah kitnii hii haqaaeq aashnaa

thokarein tou achanak he laga kerti hain

Re: nazar Khwaah kitnii hii haqaaeq aashnaa

*thokarein to achi hoti hain... *

Re: nazar Khwaah kitnii hii haqaaeq aashnaa

Yeh parh ker mujhey woh ghazal yaad ayee:

Ulfat kee naye manzil koh chala tu bahein daal kay bahon mein
Dil tornay waley dekh aky chul hum bhi toh parey hain rahon mein.

Re: nazar Khwaah kitnii hii haqaaeq aashnaa

Thokarain hain meethi goliyan nahin

Re: nazar Khwaah kitnii hii haqaaeq aashnaa

**
shikaayat kyuuN ise kahte ho ye fitrat hai insaaN kii
musiibat meN khayaal-e-aish-e-rafta aa hii jaataa hai

:k:
**