Nazar Fareb-E-Qazaa Kha Gai To Kyaa Hoga

**Nazar Fareb-E-Qazaa Kha Gai To Kyaa Hoga
Hayaat Maut Se Takaraa Gai To Kya Hoga

Nayi Sahar Ke Bahut Log Muntazir Hain Magar
Nayi Sahar Bhi Kajlaa Gai To Kya Hoga

Na Rahanumaaon Ki Majalis Mein Le Chalo Mujhko
Main Be-Adab Hun Hansii Aa Gai To Kya Hoga

Gham-E-Hayaat Se Beshaq Hai Khudkushi Aasaan
Magar Jo Maut Bhi Sharmaa Gai To Kyaa Hoga

Shabaab-E-Laalaa-O-Gul Ko Pukaarane Vaalon
Khizaan-Sirisht Bahaar Aa Gai To Kya Hoga

Ye Fikr Kar K Is Aasodagi K Dhoke Mein
Teri Khudi Ko Bhi Maut Aa Gai To Kya Hoga

Khushii Chhini Hai To Gham Ka Bhi Aitamaad Na Kar
Jo Rooh Gham Se Bhi Ukataa Gai To Kya Hoga**

Re: Nazar Fareb-E-Qazaa Kha Gai To Kyaa Hoga

tou kya :o:

ppl use tht to annoy samne wala

Re: Nazar Fareb-E-Qazaa Kha Gai To Kyaa Hoga

Sach…?:hmmm:

Re: Nazar Fareb-E-Qazaa Kha Gai To Kyaa Hoga

haan :sid:

Re: Nazar Fareb-E-Qazaa Kha Gai To Kyaa Hoga

bohot khoob

Re: Nazar Fareb-E-Qazaa Kha Gai To Kyaa Hoga

**Gham-E-Hayaat Se Beshaq Hai Khudkushi Aasaan
Magar Jo Maut Bhi Sharmaa Gai To Kyaa Hoga

mar ke bhi chain na aaya to kahan jaen ge :confused:
**