**Teray Paas Aane Ko Ji Chahata Hai
Naye Zakhm Khanay Ko Ji Chahata Hai
Idhar Aaye Shayad Woh Mauj-e-Tarannum
Ghazal Gungunanay Ko Ji Chahata Hai
Zamana Mera Aazamaya Huwa Hai
Tujhe Aazamanay Ko Ji Chahata Hai
Wohi Baat Reh Reh K Yaad Aa Rahi Hai
Jisay Bhool Janay Ko Ji Chahata Hai
Labon Par Meray Khil Aata Hai Tabassum
Jab Aansuu Bahanay Ko Ji Chahata Hai
Kayi Martaba Dil Pe Bijli Giri Hai
Magar Muskuranay Ko Ji Chahata Hai
Takalluf Na Kar Aaj Barq-e-Tajalli
Nasheman Jalanay Ko Ji Chahata Hai
Rukh-e-Zindagi Se Naqabein Ulat Kar
Haqiqat Dikhanay Ko Ji Chahata Hai
-=EnD=-
(Sikander Ali Wajd)**