Naye Mohabbat ki hai main nay issnay bhi kisi ko chaha hai

Naye mohabbat ki hai main nay iss nay bhi kisi ko chaha hai
Pahlay mujh par haq tha iska ab yeh shaks tumhara hai
Main nay jis ko chaha tha who tou yahan sey door gayee
Jis sey mohabbat tum nay ki thee ab woh kahan par rahta hai
Hum dono tou beth kay aksar ilm ki baatain kartay thay
Tum logon ka haal tha kaisa kaisay waqt guzra hai
Tum sey baatain kartay huay main yaad tou usko karta hoon
Mujh sey baatain kartay huay kya yaad tumhain woh aata hai
Tum main bohat si baatain hain ya uski ziyadah baatain theeN
Meri baatain kaisi hain kya wo bhi mujh sey acha hai
Main tou usko piyar main aksar pagli kahta rahta tha
Kya tum nay bhi us larkay ko pagal kah kar dekha hai
Main tou aksar us kay aansoo apni aankh sey roya hoon
Kya tum nay uskay aansoo ko girnay sey pahlay roka hai
Aksar yeh hi sochta hoon main shayad usko bhoola nahi
Tum yeh kaho kah khuabon main ek saaya sa lahrata hai
Apni kahani kahtay jao uski kahani suntay raho
Aadil~ aisay khel main aksar khuabon ka ghar jalta hai

Taajdar Aadil~

Nice....

Re: Naye Mohabbat ki hai main nay issnay bhi kisi ko chaha hai

zaberdast :k:
thxs 4 sharing dano

Nice :k::k::k:

Nice :k:

Nice