**naye dinon ke naye safar main dhayan rakhna
khamosh, chup chap
kuch na kehti in saaton ne
sonp dale naye taqazay rafaqaton ke
dhayan rakhna
ke apne hisse ke sab taqazay nibhane hain
sath chalte hoye safar main
her ik dagar pe chahaton ke ghulab likhna
warq warq aitamad jis main
harf harf main ho jaan nisari
naii khushiyan, naye manazir
naii misalein, naye hawale
bus aik aisi hi muhabtoon ki kitaab likhna
naye dinon ke naye safar main**