Nayi baharein mehek uthi hain
Mujhe khabar hai suron ki
Zameen zarkhaiz ho rahi hai
Nayi musafaton ka kh(uw)ab dil mein
Machal raha hai
Nayi tamanna ki justujoo mein
Ik mausam badal raha hai
Ke jaise phir main
Nayi ruton ke hisar mein hun
Kisi ke dast-e-shumar mein hun
Uroosa Khan-Karachi