Gum apni muhab’bat main donoon, nayaab ho tum nayaab hain hum
kia hum ko khuli aankhain daikhain ik khwab ho tum, ik khwab hain hum
Kia mehshar-khaiz judai hai, kia wasl qayamat ka hoga
jazbaat ka ik sailaab ho tum, jazbaat ka ik sailaab hain hum
Ik huns purani yadoon ka baitha howa kankar chunta hai
tapti hoi hijr ki ghariyoon main sookha howa ik talaab hain hum
Ik waqt talatum-khaiz hain hum gardish main tumhain bhi lay lain gai
is waqt na tair aiy kashti-e-dil, is waqt to khud gardaab hain hum
Aiy chashm-e-falk, aiy chashm-e-zameen! hum loog to phir anay kay naheen
do chaar ghari ka sapna hain, do chaar ghari ka khwab hain hum!
(Adeem Hashmi)