**Tumharay khat main naya ik Salam kis ka tha
Na tha Raqeeb to aakhir woh nam kis ka tha
**(whom you added in your mailing list ? )
**Wafa karain gay nabhain gay bat manain gay
Tumhain bhi yad hay kuchh yeh kalam kis ka tha
Guzar gaya woh zamana kahoon to kis say kahoon
Khial dil ko miray Subh o sham ****kis ka tha
Har ik say kehtay hain kia Dagh bewafa nikla
Yeh poochhay un say koi Woh ghulam kis ka tha
**