Naya Saal


Restored attachments:

Re: Naya Saal

Zabardast :k:

Re: Naya Saal

Aye naye saal bata, tujh main naya pan kiya hai?
Har taraf khalq nay Q shorr macha rakha hai

Roshni din ki wohi taaron bharee raat wohi
Aaj hum ko nazar aati hai har baat wohi

Aasmaan badla hai afsos na badli hay zameen
Ek hindsay ka badalna koi jiddat tou nahi

Aglay barson ki tarha hongay qarenay teray
Kisay maaloom nahi 12 mahinay teray

January, febuary aur march main paray sardi
Aur april, may, june main hogi garmee

Tera munn dahar main kuch khoye ga kuch paye ga
Apni miyaad basar karkay chala jaye ga

Tu naya hai tou dikha subha nayee shaam nayee
Warna in aankhon nay dekhay hain naye saal kayee

Bay sabab detay hain Q loge mubarakbaadain
Gaalibann bhool gaye waqt ki karwii yaadain

Teri aamud sey ghatti umar, jahan sey sab ki
Faiz~ nay likhi hai yeh nazam niralay dhub ki

Re: Naya Saal

ab ke nayaa saal kuchh eisa nazar aaye
ki pichhle sab saaloN se badla sa nazar aaye

diloN per chha'ee hu'ee ghamoN ki gard ho door
shab-o-roz bas khushiyoN ki sahar aaye
naye sire se ho san'at apne wajood ki
bikhra bikhra saa aashiyaN saNwar jaaye

ibtda ho eisee jaise aagaz kisi bazm ka
aakhir mein jis bazm ke waqt khud hi thahar jaye
har lamha jo guzre naazneen phool sa ho
gulshan-e-hayat mein jiski khushboo si bikhar jaye

ek naya aasmaN ho aur nayee ho zameeN
ek naya ho diyaar, aur naye ho makeeN
ek nayee ho manzil aur naye ho raah
ki phir kisi raah se koi gham na idhar aaye

ab ke naya saal kuchh eisa nazar aaye
ki pichhle sab saaloN se badla sa nazar aaye

Re: Naya Saal

ab k saal kuch aisa karna
apnay pichlay 12 maah k
dukh sukh ka andaza karna
bichri yadain tazaa karna
sada sa ek kaghaz lay kar
apnay saray kal likh laina
guzray saray pal likh laina
phir uss guzray ek ek pal
apnay guzray ek ek kal ka
ek ek mor ahaata karna
sari subhain pass bulana
sari shamain hazir rakhna
phir ek mohtaat qayas lagana
gar to khushiyan barh jati hain
to phir tum ko meri taraf say
anay wala saal mubarak
aur agar ghum barh jayen to
mat baykaar takalluf karna
dekho phir tum aisa karna
meri khushyan tum lelaina
mujhko saray ghum dedaina

Re: Naya Saal

3 very nice!

Re: Naya Saal

Wow!