Naya hai shehr, naye asray talaash karun

**Naya hai shehr, naye asray talaash karun
Tu kho gaya hay, kahan ab tujhay talash karun

Tu aks hai to kabhi meri chashm-e-tar mai utar
Teray liye main kahan aainay talaash karun

Ghazal kahun, kabhi saada se khat likhun us ko
Udaas dil ke liye mashghalay talaash karun

Meray wajood se shayad milay suraagh uska
Mai khud ko bhi teray waastay talaash karun

Mai chup rahun, kbi be wajha hans parron Mohsin
Usay ganwa ke ajab hauslay talaash karun**

Re: Naya hai shehr, naye asray talaash karun

you mean sher is timepass kaam ? :eek:

Re: Naya hai shehr, naye asray talaash karun

**Meray wajood se shayad milay suraagh uska
Mai khud ko bhi teray waastay talaash karun

:k: deep

insaan kisi ko chahta hai to uss main apna aap hi talash karta hai
**

Re: Naya hai shehr, naye asray talaash karun

Dunya Mein Waqt Guzaarny hi to Aaay hyn…

Re: Naya hai shehr, naye asray talaash karun

explain kaise apna aap talsh kerta hai ?

sher likh likh ke ? :emmy:

Re: Naya hai shehr, naye asray talaash karun

Apna Aap kis Sorat/Shakal mein dikhta hy…?

Re: Naya hai shehr, naye asray talaash karun

Ye ikhtiyaar to Insaan ka hy…Wo kis terhan Guzaarna Chahta hy…

Achay or Buray Kaam`on ko bayan kr diya hy Quran mein ALLAH ny

Re: Naya hai shehr, naye asray talaash karun

ye bhi hai :hmmm:

Re: Naya hai shehr, naye asray talaash karun

kehte hain insaan sirf apne aap se muhabbat karta hai… jab koi pyara marta hai to uss pyare ko nahin rota, uss pyare se juRi apni cheezon, apni yadon ko rota hai

Re: Naya hai shehr, naye asray talaash karun

but i still dont get what you mean by apne aap ko dhondna in the person you love.

Re: Naya hai shehr, naye asray talaash karun

as people say 'falan apna apna sa lagta hai.. jaise hamesha se jante hon.' This is said, when you find some similarities of that person with you

Re: Naya hai shehr, naye asray talaash karun

hmm..ok got it...