Naya ek rishta paida kyon Karen ham
Bicharrna hai tou jhagrra kyon Karen ham
Khamoshi se ada ho rasm-e-doori
Koi hungama barpa kyon Karen ham
Ye kafi hai ke ham dushman nahin hein
Wafadari ka da’awa kyon Karen ham
Wafa, ikhlaas, qurbani, mohabbat
Ab en lafzon ka peecha kyon Karen ham
Suna dein asmat-e-Maryum ka qissa?
Par ab es baab ko wa kyon Karen ham
Hamari hi tamnna kyon karo tum
Tumhari hi tamnna kyon Karen ham
Kiya tha ehd jab lamhon mein ham ne
Tou sari umar efa kyon Karen ham
Nahin dunya ko jab parwa hamari
Tou phir dunya ki parwa kyon Karen ham
Hein bashinde esi basti ke ham bhi
Sou khud per bhi bharosa kyon Karen ham