By John Aliya
Mujhay pahlay 5 Ashaar buhat achay lagtay hain :cobra:
Pora kalam
*naya ik rishta paida kyun karain hum*
*bicharna hai to jhagra kyun karain hum
khamoshi se adaa ho rasm-e-doori
koi hungama barpa kyun karain hum
ye kafi hai k hum dushman nahi hain
wafadaari ka daawa kyun karain hum
wafa, ikhlaas, qurbaani, mohabbat
ab inn lafzon ka peecha kyun karain hum
suna dain ismat-e-mariyam ka qissa?
par ab iss baab ko waa kyun karain hum
zulekha-e-azeezaan baat ye hai
bhala ghatay ka sauda kyun karain hum
hamari hi tamanna kyun karo tum
tumhari hi tamanna kyun karain hum
kia tha ehad jab lamhon meiN hum nay
tou saari umar ii_fa kyun karain hum
utha kar kyun na phenkain saari cheezain
faqat kamron mein tehla kyun karain hum
nahi dunya ko jab parwaah hamari
to phir dunya ki parwaah kyun karain hum
barehna hain sar-e-bazaar tou kia
bhala andhon se pardaah kyun karain hum
hain baashinday issi basti k hum bhi
so khud par bhi bharosa kyun karain hum
chaba lain kyun na khud hiapna dhaanchaa
tumhain raatib mohayyaa kyun karain hum
pari rehnay do insaanon ki laashain
zameeN ka bojh halka kyun karain hum
ye basti hai musalmaanon ki basti
yahan kaar-e-maseeha kyun karain hum*
Restored attachments:
