Naya Dard Ek Dil mein Jaga ker Chala Gaya

**
Naya Dard Ek Dil mein Jaga ker Chala Gaya,
Kal Phir Woh Meray Sheher mein aa ker Chala Gaya.

Jisay Dhoondta Raha Main Logon ki Bheerr mein,
Mujh say Woh Apna Aap Chupa ker Chala Gaya.

Main Uski Khamoshi ka Sabab Poochta Raha,
Woh Qissay idhar udhar k Suna ker Chala Gaya.

Ye Sochta Hoon Kesay Bhulaaoon Ga Ab Ussay,
Aik Shakhs Woh Jo Mujh ko Bhula ker Chala Gaya.**

Re: Naya Dard Ek Dil mein Jaga ker Chala Gaya

**Ye Sochta Hoon Kesay Bhulaaoon Ga Ab Ussay,
Aik Shakhs Woh Jo Mujh ko Bhula ker Chala Gaya.

:k:

Rukhsat huwa to hath mila kar nahin gaya
wo kiyun gaya hai ye bata kar nahin gaya

Rehne dia na uss ne kisi kaam ka mujhe
aur khaak mein bhi mujh ko mila kar nahin gaya
**

Re: Naya Dard Ek Dil mein Jaga ker Chala Gaya

Bohat Khoob…

Re: Naya Dard Ek Dil mein Jaga ker Chala Gaya

:teary1:
:teary1:
:teary1:
:teary1:
:teary1:
:teary1:
:teary1:

Re: Naya Dard Ek Dil mein Jaga ker Chala Gaya

lovely sharing both of you:lajawab: