**
Naya Aik rishta paida kyoon karain hum
bicharna hai to jhagra kyoon karain hum
khamoshi se adaa ho rasm-e-duri
koi hungama barpa kyoon karain hum
ye kafi hai k hum dushman nahi hain
wafadaari ka da’awa kyoon karain hum
wafa, ikhlaas, qurbaani, mohabbat
ab inn lafzon ka peecha kyoon karain hum
suna dain ismat-e-mariyam ka qissa?
par ab iss baab ko waa kyoon karain hum
zulekha-e-azeezaan baat ye hai
bhala ghaatay ka sauda kyoon karain hum
hamari hee tamanna kyoon karo tum
tumhari hee tamanna kyoon karain hum
kia tha e’had jab lamhoon mein hum nay
to saari umar wafa kyoon karain hum
uTha kar kyoon na phenkain saari cheezain
faqat kamroon mein Tehlaa kyoon karain hum
nahi duniya ko jab parwaah hamari
to phir duniya ki parwaah kyoon karain hum
barehna hain sar-e-bazaar to kia
bhala andhoon se pardaah kyoon karain hum
hain baashinday issi basti k hum bhi
so khud par bhi bharosa kyoon karain hum
**
John Eliya!!