Re: Nawha Thread
Khaymay main aakay Shah nay jab alwida kaha, kohraam mach gaya
Tha jis ka intezaar, woh saāat qareeb hai,
Din dhal raha hai shaam-e-museebat qareeb hai,
Kuch dair ki hai baat qayamat qareeb hai,
Zainab ghareeb bhai ki rukhsat qareeb hai,
Yeh keh kay maanga maa ka jo kurta sila huwa,
Kohraam mach gaya
Kuch door hath kay khaymay main bolay Shah-e-Zaman,
Zehmat naa ho to bazoo barhaao zara behen,
Main bos loon wahaan kay bandhay gi jahaan rassan,
Bazoo barha kay roti thi hamsheer khasta tan,
Bhai behen kay bazoo ko jab choomnay laga,
Kohraam mach gaya
Yeh sun kay Binte Fatima Zahra tarap gayi,
Boli gala barhaao bas ab jald ya akhi,
Amma ki baat aaj mujhay yaad aagayi,
Main bos loon wahaan kay chalay gi jahaan churi,
Zainab nay barh kay chooma baradar ka jab gala,
Kohraam mach gaya
Beti say pir yeh kehnay lagay Fatima ka laal,
Rehna phuppi kay saath, rakhengi tera khayaal,
Ghurbat hai tum phuppi say naa karna koi sawaal,
Warna teray pidar ko bohat roye ga manar(?),
Phir sar pay haath rakh kay jo dainay lagay dua,
Kohraam mach gaya
Beti ko jab supurd(?)-e-behen kar chukay Imam,
Ro kar behen say kehnay lagay aasmaan maqaam,
Jaana watan jo qaid say chut kar ay tishna daan,
Kehna lehad pay maa ki mera aakhri salam,
Aaya jo lab pay Fatima Zahra ka tazkira,
Kohraam mach gaya
Abid say phir yeh kehnay lagay Shah-e-Karbala,
Baywaaon aur yateemon ka ab tum ho aasra,
Jo imtehaan mera tha sab mainay day diya,
Aagay tera jihad hai Beemar-e-Karbala,
Beemar beta baap say jis dam juda huwa,
Kohraam mach gaya
Khaymay say bahar aaye jo Sultan-e-Karbala,
Sar ko jhukaaye rota tha khud azb pay bawafa,
Ab kis atrah sawaar ho Zahra ka laadla,
Tanhaayi kay siwa koi yawar nah iraha,
Jab suwe neher dekh kay Ghazi ko di sada,
Kohraam mach gaya
Bhai ko tanha dekh kay Zainab tareep gayi,
Roti huwi Hussain kay nazdeek aagayi,
Aur phir rakaab thaam kay boli ay Shah-e-Deen,
Lo main sawaar karti hoon Abbas gar nahi,
Waiz huwa sawaar jo Zahra ka laadla,
Kohraam mach gaya
I jsut typed this literally in 10 mins and since this is from like Mir Anees zamaana, I didnāt get some words. So if somebody could double check, thatād be k00l.
btw Shaam vids being posted now
http://www.youtube.com/watch?v=tq4xf0pAjJA - Noha of da year from Katri
And I have been lsitening to this a lot lately.. http://www.youtube.com/watch?v=CkaU9XWieyM
He sounds just like his dad and the first noha is just too good.
Al-Qaeda say keh do karna hai jo bhi kar lay,
Girnay naa dein gai parcham, parcham uthaanay waalay