Iss daur main, may aur hay, jaaam aur hay, jamm aur
Saaqi nay binaa kee ravish-e-lutf-O-sitam aur
Muslim nay bhee taa’meer kia apna haram aur
Tehzeeb kay Aazar nay tarashwaaey sanam aur
Inn Taazaa khudaaoun main barraa subb say watan hay
Jo Perhan iss kaa hay woh mazhab ka kafan hay
Yeh bu’t kay taraasheedaa-e-tehzeeb-e-navi hay
Ghaarat gar-e-kaashaana-e-deen-e-nabavi (S.A.W) hay
Baazu tera Tawheed kee quwwat say qawi hay
Islam tera des hay, tu Mustafwi hay
Nazzaara-e-Daireena zamaanay ko dikhaa day
Aey Mustafwi khaak main iss bu’t ko millaa day
Ho qaid-e-muqaami tau nateeja hay tabaahi
Reh beh’r main aazaad-e-watan soorat-e-maahi
Hay tark-e-watan sunnat-e-Mehboob-e-Ilaahie (S.A.W)
Day tu bhee Nabuwat kee sadaaqat pay gawaahi
Guftaar-e-siyaasat main watan aur hee kuch hay
Irshaad-e-Nubuwat main watan aur hee kuch hay
Aqwaam-e-jahaan main hay raqaabat tau issi say
Taskheer hay maqsood-e-tijaarat tau issi say
Khaali hay sadaaqat say siyaasat tau issi say
Kamzour ka ghar hota hay ghaarat tau issi say
Aqwaam main makhlooq-e-Khuda batt-tee hay iss say
Qoumiyat-e-Islam kee jarr katt-tee hay iss say