Nasir kiya kehta phirta hai, kuch naa suno tou behtar hai
deewana hai, deewaney key munh naa lago tou behtar hai
kal jou thaa woh aaj nahin, jou aaj hai kal mit jaaye gaa
rookhi sookhi jou mil jaaye shukar karo tou behtar hai
kal yeh taab-o-tawaan naa rahey gi, thanda hou jaaye gaa lahu
naam-e-khuda hou jawaan, abhi kuch kar guzrou tou behtar hai
kiya jaaney kiya rut badley haalaat kaa koi theek nahin
ab key safar mein tum bhi hamarey saath chalo tou behtar hai
kaprey badal kar baal banaa kar kahan chaley hou kis ke liye
raat bohat kaali hai nasir, ghar mein raho tou behtar hai
(Nasir kazmi)
Re: Nasir kiya kehta phirta hai
Nasir ki konsi baat mani jaye? 
Re: Nasir kiya kehta phirta hai
jo aap ka dil kare…
Re: Nasir kiya kehta phirta hai
Nasir kiya kehta phirta hai, kuch naa suno tou behtar hai
deewana hai, deewaney key munh naa lago tou behtar hai
ye mery mtlb ki baat hy 
tarash
5
Re: Nasir kiya kehta phirta hai
kal jou thaa woh aaj nahin, jou aaj hai kal mit jaaye gaa
rookhi sookhi jou mil jaaye shukar karo tou behtar hai

Re: Nasir kiya kehta phirta hai
lol, chalein koi tou hai matlab ki baat…
enter10
7
Re: Nasir kiya kehta phirta hai
Bohat Khoob.......
Re: Nasir kiya kehta phirta hai
Bohat Khoob.......
thanks...
Re: Nasir kiya kehta phirta hai
nice :k:
Re: Nasir kiya kehta phirta hai
Nice 1
Nain
12
Re: Nasir kiya kehta phirta hai
Wah bohut khuub :(