Gaaye DinoN ki Yaad meiN
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/frown.gif
http://www.eurdubazaar.com/images/nasirkazmi/is-dunya-mein.gif
Ghazal No. 2
http://www.eurdubazaar.com/images/nasirkazmi/kon-is-rah.gif
**Wo Ilm de jo kItaaboN se Be-Niaaz kare
Wo Aql de ke do Aalam meiN Sarfraaz kare
Mujhey to is se gHarz hai keh Raazi ho Dilbar
Yeh kaam Qais´ kare ya koi Aiyaaz´ kare
**
[This message has been edited by Tassneef (edited July 02, 2002).]
very nice! tasneef
Nasir kazmee ,m haqeeqat may aik bara naam hay.......
aik shair ji mujhay bahut pasand hay nasir ka
k
"ruch bus gaya hay zahun may nasir kissi ka rog
ab kia karain gaiN koi bhee shahkaar daikh ker"
Nayab
3
uff
5
I like this Ghazal by Nasir:
Dil dharaknay ka sabab yaad aayaa
wo tereee yaad thee Ab Yaad aaya
Whole Ghazal is nice but
the sher i really like is
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
Haal-e dil Hum bhee sunatay lekin
jab wo Rukhsat howa tab yaad aaya
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
Thanx .He was Great
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
Aaraaish-e-Khayaal bhi ho dil-kushaa bhi ho
Wo dard ab kahaaN jise ji chaahtaa bhi ho
**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**
uff
7
One of the nice Ghazalz
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
Musalsal bekalee dil ko rahee hai
magar jeene ki suurat to rahee hai
Main kioon phirataa hoon tanhaa maaraa maaraa
ye bastee chain se kioon so rahee hai
Chal dil se ummeedon ke musaafir
ye nagari aaj Khaali ho rahii hai
My favorite Sher
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif
Na samajho tum ise shor-e-bahaaraan
Khizaan patton mein chhup ke ro rahee hai
hamare ghar ki diivaaron pe ‘Nasir’
udaasee baal khole so rahii hai
Nice Choice
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
These are nicee
and these too
**Dayaar-e-dil ki Raat meiN CharaagH saa jalaa gayaa
Milaa nahiN to kyaa huaa wo Shakl to dikhaa gayaa
JudaaioN ke ZakHm dard-e-Zindagi ne bhar diye
Tujhe bhi Neend aa gai mujhe bhi Sabr aa gayaa
Yeh subah ki SafediyaaN yeh dopehar ki ZardiyaaN
Ab Aaine meiN deKhtaa hooN maiN kahaaN chalaa gayaa
Pukarti haiN FursateiN kahaaN gaiN wo SohbateiN
ZameeN nigal gai unheiN yaa Aasmaan khaa gayaa
Wo dosti to kHair ab Naseeb-e-dushmanaaN hui
Wo cHoTi cHoTi RanjishoN kaa lutf bhi chalaa gayaa
yeh kis kHushi ki Ret par gHamoN ko Neend aa gai
Wo lehar kis taraf gai ye maiN kahaaN samaa gayaa
Gaye dinoN ki Laash par parhe rahoge kab talak
uTho amal-kasho uTho keh Aaftaab sar pe aa gayaa **
youN to saari gHazal hi acHi hai ..magar mujhe yeh do Asha’ar bataur-e-kHaas pasand haiN:-
**Pukarti haiN FursateiN kahaaN gaiN wo SohbateiN
ZameeN nigal gai unheiN yaa Aasmaan khaa gayaa
Wo dosti to kHair ab Naseeb-e-dushmanaaN hui
Wo cHoTi cHoTi RanjishoN kaa lutf bhi chalaa gayaa **
**Be-kHudi le gai kahaaN ham ko
Der se intazaar hai apnaa
Jis ko tum Aasmaan kehte ho
So DiloN kaa gHubaar hai apnaa
**
[This message has been edited by Tassneef (edited July 09, 2002).]