**
Nashe Mein Dooba Hoon Main Mujhe Hai Pyar Ka Nasha
Teri Umeed Ka Nasha Hai Tere Intezaar Ka Nasha
****Koi Saaki Nahin Paas Hai Door Har Mehkashi Bhi
Phir Bhi Behak Raha Hoon Main Hai Wasl-e-Yaar Ka Nasha
****Mausam Ye Badalte Rahe Magar Dil-e-Suroor Na Utra
Kabhi Raha Khizan Ka Nasha To Kabhi Bahaar Ka Nasha
****Mere Azeez Ye Khel Raha Hum Dono Ko Munasib
Tujhe Hai Jeet Ka Nasha To Mujhe Haar Ka Nasha
****Meri Duniya Hai Gham Bhari Aur Tujhe Jannat Hai Haasil
Khuda Ki Reham Ka Tujhe To Mujhe Uski Maar Ka Nasha
****Har Aadmi Juda Hai.. Hai Juda Har Shauk Bhi Ae Dost
Hum Kehte Rahe Jisse Pyaar To Samjha Bekaar Ka Nasha
**Fakat Kuch Hi Dino Ka Raha Tu Mehmaan-e-Ghayal
Tere Sang Hi Chala Jayega Is Dil-e-Bimaar Ka Nasha