**Dasht-e-Wafa Main Pyaas Ka Aalam Ajeeb tha
Dekha to Aik Dard Ka Darya Qareeb tha
Guzrey Jidhar Jidhar Sey Tamanna K Qaafiley
Har Har Qadam Pay Aik Nishaan-e-Saleeb tha
Kuch Aisi Meharban to Na thi Hum Pay Zindagi
Kyun Har Koi Jahan Main Hamara Raqeeb tha
Kya Kya Lahu Se Apney Kiya Hum Ne SurKharoo
Us Door K Nagar Ko Jo Dil K Qareeb tha
Apna Pata to Usne Diya tha Mujhe
Main Khud Hi Kho Gaya to Ye Mera Naseeb tha.**