Naraz tum naraz hum
Kaisay mitay phir duuriyan ?
Hum Muntazir Tum Bekhabar
Dono ki hain majbooriyan
Ho jaye apna agar kabhi samnaa
Tum meray chehray ko zara ghour se dekhna
Haan ghour se dekhna
Aur phir sochna
Phir sochna
Kya baat thi jis ki saza hum ko wahan tak le gai
Chehron se rung, aankhon se khawaab
Sab kuch ura kar lay gayi
Kuch khonay ka gar tumhe ehsaas ho
Beetay dino ke lautne ki tum ko bhee aas ho
Haan tum ko bhee aas ho
Tou chalay aana
Chalay aaana
**Mat sochna, **
Mat poochna,
Uthtay qadam mat rokna
Nata humara dil ka tha
Kehna bhi dil ka maanna
Naraz tum naraz hum
Kaise mitey phir duuriyan
Hum Muntazir Tum Bekhabar
Dono ki hein majbooriyan…