jo naqsh dil pe hai,nadani main dekha tha
haqeeqat ban gaya wo kab jo kahani main dekha tha
haqeer itna na jano k zawal tumhain b ana hai
wo khaak ka zara bana jo tabani main dekha tha
kafir bana dia mujhe ik sajde ki khott ne
wo aks to kho gaya jise pani main dekha tha
chand kiun amawas ki god main ja chupa
jo roshni lutata jan fishani main dekha tha
gaye barson ki bat chorro ab kya kehte ho
wo khwab tha or beet gaya jo jawani main dekha tha
rahi hum ko raqabat ishq karne walon se
wo muhabbat dargor hui jisay gumnami main dekha tha
ab khali hath,khali dil,khali daman hai
na wo aks,na khwab,na he rang hain kahin
bas ik naheef sa dhaba jawedani main dekha tha…