naqsh-e-khayal dil se mitaya nahi hanooz
bedard main nai tujhko bhulaya nahi hanooz
wu sar jo tairee rahguzer main thaa sajdaraiz
main nai kisi qadam pe jhukaya nahi hanooz
mehraab-e-jaan main tu nai jalaya tha khud jissai
seenai ka wu chiraagh bujhaya nahi hanooz
behosh hokai jald tujhai hosh aa gaya
main badnaseeb hosh main aya nahi hanooz
mar ker bhi aayai gi ye sada qabr-e-josh se
bedar main nai tujhko bhulaya nahi hanooz
Azad
April 26, 2004, 7:06am
4
mar ker bhi aayai gi ye sada qabr-e-josh se
hummm pata nahi kahan say mou uttha ke agia hay humari neend barbad karnay.
kis kai anai ki baat ker rehai hain ...wesai hum to jab bhi aatai hain barai adab se ser jhuka ker aatai hain phir bhi neend barbaad kernai per maazart chahtai hain!
wesai Azad bhai ye anadaaz-e-guftgoo aap ko zaib nahi daita maazarat kai saath itna zaroor kahain gai
what does 'hanooz' mean? never heard of that word :)